ishq mein jab sar diya tab phir ke lachaari hai kya
ishq meñ jab sar diyā tab phir ke lāchārī hai kyā
iḳhtiyār-e-faqar meñ vasvās-e-nādārī hai kyā
be-qarārī se taḌaptā dekh o pūchhā mujhe
ai shahīd-e-teġh-e-abrū tujh kuuñ bīmārī hai kyā
maiñ kahā hazrat-salāmat kuchh to munsif ho hī je
maar kar zaḳhmī ka.e kahte ho āzārī hai kyā
tab kahā munsif ho fil-vāqe.a ki merā daar hai
yuuñ ḳhabar mujh par nahīñ jo zaḳhm o kaarī hai kyā
maiñ kahā insāf-e-dushman dil meñ kuchh insāf kar
zaḳhm gar kaarī nahīñ to ḳhuun ye jaarī hai kyā
sun tabassum kar kahā ka.ī zaḳhm aise khā.egā
gar hai tu sābit-qadam zaḳhmoñ kī be-zārī hai kyā
baañd kar gulnār chīrā gul-badan jaatā hai baaġh
aaj ḳhātir meñ tire bulbul kī mismārī hai kyā
jo 'turāb' naqsh-e-pā ho kar rahe nālain kā
maar use mismār karnā ye vafādārī hai kyā
ishq mein jab sar diya tab phir ke lachaari hai kya
iKHtiyar-e-faqar mein waswas-e-nadari hai kya
be-qarari se taDapta dekh o puchha mujhe
ai shahid-e-tegh-e-abru tujh kun bimari hai kya
main kaha hazrat-salamat kuchh to munsif ho hi je
mar kar zaKHmi kae kahte ho aazari hai kya
tab kaha munsif ho fil-waqea ki mera dar hai
yun KHabar mujh par nahin jo zaKHm o kari hai kya
main kaha insaf-e-dushman dil mein kuchh insaf kar
zaKHm gar kari nahin to KHun ye jari hai kya
sun tabassum kar kaha kai zaKHm aise khaega
gar hai tu sabit-qadam zaKHmon ki be-zari hai kya
band kar gulnar chira gul-badan jata hai bagh
aaj KHatir mein tere bulbul ki mismari hai kya
jo 'turab' naqsh-e-pa ho kar rahe nalain ka
mar use mismar karna ye wafadari hai kya
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 120)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.