bas ki dil sauda-zada hai ai shab-e-hijran mera
bas ki dil saudā-zada hai ai shab-e-hijrāñ mirā
sham.a-rū kuuñ bol jā kar hālat-e-giryāñ mirā
bevafā.ī un siyah-chashmāñ kī dekhā jab satī
misl-e-ā.īna ho hairāñ dil hai sargardāñ mirā
gul-badan ke hijr suuñ tanhā-o-giryāñ dekh kar
yaar ham-sohbat huā hai bulbul-e-nālāñ mirā
kākul-e-mushkīñ kā apne vo girah kholā hai aaj
jam.a-e-ḳhātir kaañ rahe jab hai pareshāñ jaañ mirā
phir o hī aatā hai zālim āstīñ apnī chaḌā
murġh-e-dil jis ne kiyā us roz ḳhūñ-afshāñ mirā
kar garebāñ chaak apnā gul namat bhuhīñ par girā
dard-e-dil bulbul sauñ sun kar o gul-e-ḳhandāñ mirā
kyuuñ karauñ nā dam-ba-dam husn-e-husainī par nisār
ai 'turāb' har-yak añjhū hai gauhar-e-ġhaltāñ mirā
bas ki dil sauda-zada hai ai shab-e-hijran mera
shama-ru kun bol ja kar haalat-e-giryan mera
bewafai un siyah-chashman ki dekha jab sati
misl-e-aina ho hairan dil hai sargardan mera
gul-badan ke hijr sun tanha-o-giryan dekh kar
yar ham-sohbat hua hai bulbul-e-nalan mera
kakul-e-mushkin ka apne wo girah khola hai aaj
jama-e-KHatir kan rahe jab hai pareshan jaan mera
phir o hi aata hai zalim aastin apnī chaDa
murgh-e-dil jis ne kiya us roz KHun-afshan mera
kar gareban chaak apna gul namat bhuhin par gira
dard-e-dil bulbul saun sun kar o gul-e-KHandan mera
kyun karaun na dam-ba-dam husn-e-husaini par nisar
ai 'turab' har-yak anjhu hai gauhar-e-ghaltan mera
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 140)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.