bans ki le bansuli tirbhangi chhab sun hai khaDa
baañs kī le bāñsulī tirbhañgī chhab suuñ hai khaḌā
ai mire bāñke kanaiyā bol kab suuñ hai khaḌā
kaale rañg par kaalī kamlī aur kaale case chhoḌ
kis kā dil karne pareshāñ us zarab suuñ hai khaḌā
kaale kaale haath meñ le baañs kā paavā safed
gopinā meñ gaū charayyā mil ke sab suuñ hai khaḌā
gaū chrāve o kahīñ hor kahīñ phire rādhā ke sañg
kahīñ le chakkar haath meñ laḌte ġhazab suuñ hai khaḌā
hai tirā vāhan garuḌ pheñk ai chaturbhuj vasudev
tū ne das autār le aish-o-tarab suuñ hai khaḌā
bāñsulī kā naad sun kar sud bisar dīvāne ho
rukmanī tab suuñ khaḌī tuuñ bhī jab suuñ hai khaḌā
ho murārī bhog le sab gopiyā kā ai 'turāb'
bhar kalā bālak abhogī kyā sabab suuñ hai khaḌā
bans ki le bansuli tirbhangi chhab sun hai khaDa
ai mere banke kanaiya bol kab sun hai khaDa
kale rang par kali kamli aur kale case chhoD
kis ka dil karne pareshan us zarab sun hai khaDa
kale kale hath mein le bans ka pawa safed
gopina mein gau charayya mil ke sab sun hai khaDa
gau chrawe o kahin hor kahin phire radha ke sang
kahin le chakkar hath mein laDte ghazab sun hai khaDa
hai tera wahan garuD phenk ai chaturbhuj wasudew
tu ne das autar le aish-o-tarab sun hai khaDa
bansuli ka nad sun kar sud bisar diwane ho
rukmani tab sun khaDi tun bhi jab sun hai khaDa
ho murari bhog le sab gopiya ka ai 'turab'
bhar kala baalak abhogi kya sabab sun hai khaDa
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 151)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.