o but-e-nazuk jahan hai och but-KHana hai KHub
o but-e-nāzuk jahāñ hai och but-ḳhāna hai ḳhuub
hai makāñ hor na.iiñ makīn tū dasht-o-vīrāna hai ḳhuub
muft meñ añgusht-numā karte ho aalam meñ abas
dost-e-nādāñ setī be-shak dushman-e-dānā hai ḳhuub
ho pareshāñ-hāl tirī zulf-e-kaj kā sair kar
is firāq-e-ishaq setī āshnā shāna hai ḳhuub
sham.a-rū ke ishaq meñ aksar huā dil soḳhta
shola-e-ātish suuñ vāqif-e-hāl-e-parvāna hai ḳhuub
kātib-e-qudrat kiyā hai barg-e-sumbul par raqam
mahram-e-zanjīr-e-zulf-e-yār dīvāna hai ḳhuub
dekh kar us sho.ala-ḳhū kuuñ na.al dar ātish hai dil
is yagāne-pan suuñ tere balki begāna hai ḳhuub
jaañ guzar kartā hai o maḳhmūr chashm-e-nau-bahār
ai 'turāb' har sub.h-dam o sair-e-mai-ḳhāna hai ḳhuub
o but-e-nazuk jahan hai och but-KHana hai KHub
hai makan hor nain makin tu dasht-o-virana hai KHub
muft mein angusht-numa karte ho aalam mein abas
dost-e-nadan seti be-shak dushman-e-dana hai KHub
ho pareshan-haal teri zulf-e-kaj ka sair kar
is firaq-e-ishaq seti aashna shana hai KHub
shama-ru ke ishaq mein aksar hua dil soKHta
shola-e-atish sun waqif-e-haal-e-parwana hai KHub
katib-e-qudrat kiya hai barg-e-sumbul par raqam
mahram-e-zanjir-e-zulf-e-yar diwana hai KHub
dekh kar us shoala-KHu kun nal dar aatish hai dil
is yagane-pan sun tere balki begana hai KHub
jaan guzar karta hai o maKHmur chashm-e-nau-bahaar
ai 'turab' har subh-dam o sair-e-mai-KHana hai KHub
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 166)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.