Sufinama

tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya

Shah Turab Ali Qalandar

tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    ne dikhlā ke ruḳh apnā mujhe hairān kiyā

    dil ko uljhā ke zulfoñ meñ pareshān kiyā

    dekhte tirī sūrat ga.e nāseh ke havās

    ḳhuub allāh ne dushman ko pashemān kiyā

    nuuh se kahiyo ke jald aa.e aur kashtī laa.e

    hijr meñ ro-ro ke yahāñ aañkh ne tūfān kiyā

    pairahan chaak huā gul chaman meñ jab se

    maiñ isī vaqt se chaak apnā garebān kiyā

    jis ko ārām dil-o-rāhat-e-jāñ kahte haiñ

    jān-o-dil maiñ ne usī yaar pe qurbān kiyā

    haq taqdīr pe raazī huuñ jo chāhe kare so

    mujh ko parvāna use sham.a-e-shabistān kiyā

    nazar-e-bad na lage muñh pe jo nuqta ho siyāh

    ḳhaal ko ḳhūbī-e-āriz nigahbān kiyā

    shaiḳh gar ne bahut but-kade toḌe to kyā

    nafs-e-kāfir ko kisī din na musalmān kiyā

    tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya

    dil ko uljha ke zulfon mein pareshan kiya

    dekhte hi teri surat gae naseh ke hawas

    KHub allah ne dushman ko pasheman kiya

    nuh se kahiyo ke jald aae aur kashti lae

    hijr mein ro-ro ke yahan aankh ne tufan kiya

    pairahan chaak hua gul ka chaman mein jab se

    main isi waqt se chaak apna gareban kiya

    jis ko aaram dil-o-rahat-e-jaan kahte hain

    jaan-o-dil main ne usi yar pe qurban kiya

    haq ki taqdir pe raazi hun jo chahe kare so

    mujh ko parwana use shama-e-shabistan kiya

    nazar-e-bad na lage munh pe jo nuqta ho siyah

    KHal ko KHubi-e-ariz ka nigahban kiya

    shaiKH gar tu ne bahut but-kade toDe to kya

    nafs-e-kafir ko kisi din na musalman kiya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now