tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya
tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
tū ne dikhlā ke ruḳh apnā mujhe hairān kiyā
dil ko uljhā ke zulfoñ meñ pareshān kiyā
dekhte hī tirī sūrat ga.e nāseh ke havās
ḳhuub allāh ne dushman ko pashemān kiyā
nuuh se kahiyo ke jald aa.e aur kashtī laa.e
hijr meñ ro-ro ke yahāñ aañkh ne tūfān kiyā
pairahan chaak huā gul kā chaman meñ jab se
maiñ isī vaqt se chaak apnā garebān kiyā
jis ko ārām dil-o-rāhat-e-jāñ kahte haiñ
jān-o-dil maiñ ne usī yaar pe qurbān kiyā
haq kī taqdīr pe raazī huuñ jo chāhe kare so
mujh ko parvāna use sham.a-e-shabistān kiyā
nazar-e-bad na lage muñh pe jo nuqta ho siyāh
ḳhaal ko ḳhūbī-e-āriz kā nigahbān kiyā
shaiḳh gar tū ne bahut but-kade toḌe to kyā
nafs-e-kāfir ko kisī din na musalmān kiyā
tu ne dikhla ke ruKH apna mujhe hairan kiya
dil ko uljha ke zulfon mein pareshan kiya
dekhte hi teri surat gae naseh ke hawas
KHub allah ne dushman ko pasheman kiya
nuh se kahiyo ke jald aae aur kashti lae
hijr mein ro-ro ke yahan aankh ne tufan kiya
pairahan chaak hua gul ka chaman mein jab se
main isi waqt se chaak apna gareban kiya
jis ko aaram dil-o-rahat-e-jaan kahte hain
jaan-o-dil main ne usi yar pe qurban kiya
haq ki taqdir pe raazi hun jo chahe kare so
mujh ko parwana use shama-e-shabistan kiya
nazar-e-bad na lage munh pe jo nuqta ho siyah
KHal ko KHubi-e-ariz ka nigahban kiya
shaiKH gar tu ne bahut but-kade toDe to kya
nafs-e-kafir ko kisi din na musalman kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.