jab se nazar aai hai wo shamshad ki surat
jab se nazar aai hai wo shamshad ki surat
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
jab se nazar aa.ī hai vo shamshād kī sūrat
pakḌī hai usī din se maiñ āzād kī sūrat
ai bulbulo ye chahchahe aafat haiñ tumhāre
dikhlā deñge ik din kisī sayyād kī sūrat
us vaqt koī dekhe gunahgār kī hālat
jis vaqt nazar paḌtī ho jallād kī sūrat
majzūb ke mushtāq abas hote ho yaaro
jā dekho kise sāhib-e-irshād kī sūrat
kis tarah 'turāb' aur kī bhāvai mujhe tasvīr
dil meñ to mire bas ga.ī ustād kī sūrat
jab se nazar aai hai wo shamshad ki surat
pakDi hai usi din se main aazad ki surat
ai bulbulo ye chahchahe aafat hain tumhaare
dikhla denge ek din kisi sayyaad ki surat
us waqt koi dekhe gunahgar ki haalat
jis waqt nazar paDti ho jallad ki surat
majzub ke mushtaq abas hote ho yaro
ja dekho kise sahib-e-irshad ki surat
kis tarah 'turab' aur ki bhawai mujhe taswir
dil mein to mere bas gai ustad ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.