dair mein jo kare KHuda ko yaad
dair meñ jo kare ḳhudā ko yaad
rāmpur us ko ho ilhābād
dūsrā koī nazar nahīñ paḌtā
kījiye kis se yaar kī fariyād
vo mirī daad chāhe de ki na de
maiñ to detā huuñ us ke ishq kī daad
aapī ma.ashūq aapī āshiq hai
kaun shīrīñ hai kaun hai farhād
nahīñ se kyā qais aage baḌh ke chale
kahāñ shāgird aur kahāñ ustād
bāġhbāñ band kar le darvāza
jaane paa.e na baaġh meñ sayyād
laa.ī phir muzda-e-bahār sabā
bulbuloñ se kaho mubārakbād
us kī tasvīr dekh uḌ ga.e hosh
ga.e hairat meñ mānī-o-bahzād
jo tasavvur meñ us ke ḳhush hai 'turāb'
vo hamesha rahegā shādāñ shaad
dair mein jo kare KHuda ko yaad
rampur us ko ho ilhabaad
dusra koi nazar nahin paDta
kijiye kis se yar ki fariyaad
wo meri dad chahe de ki na de
main to deta hun us ke ishq ki dad
aapi mashuq aapi aashiq hai
kaun shirin hai kaun hai farhad
nahin se kya qais aage baDh ke chale
kahan shagird aur kahan ustad
baghban band kar le darwaza
jaane pae na bagh mein sayyaad
lai phir muzda-e-bahaar saba
bulbulon se kaho mubarakbaad
us ki taswir dekh uD gae hosh
gae hairat mein mani-o-bahzad
jo tasawwur mein us ke KHush hai 'turab'
wo hamesha rahega shadan shad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.