kaho mujhse mat apne jaane ki baat
kaho mujh se mat apne jaane kī baat
sunāo na phir rañj aane kī baat
ḳhudā se Daro aur bāteñ karo
baḌhāte ho kyuuñ jī ghaTāne kī baat
chale kah ke tum ham ko mat bhūlnā
bhalā ye bhī hai koī bhulāne kī baat
kabhī to rulā de hai ik baat meñ
kare hai kabhī vo hañsāne kī baat
harīfoñ kī tā'rīf mujh se na kar
samajhtā huuñ maiñ ye chhuḌāne kī baat
koī kyā samajh kar kuchh us se kahe
na maane jo apne be-gāne kī baat
na kah baiThe rahnā maiñ aatā huuñ jald
ki hai ye hamāre uThāne kī baat
chhupā.ī na mujh se ga.ī kyā kahūñ
mohabbat meñ thī jo chhupāne kī baat
'turāb' aur kyā is se ziyāda kahe
sunā de jo kuchh thī sunāne kī baat
kaho mujh se mat apne jaane ki baat
sunao na phir ranj aane ki baat
KHuda se Daro aur baaten karo
baDhate ho kyun ji ghaTane ki baat
chale kah ke tum hum ko mat bhulna
bhala ye bhi hai koi bhulane ki baat
kabhi to rula de hai ek baat mein
kare hai kabhi wo hansane ki baat
harifon ki ta'rif mujh se na kar
samajhta hun main ye chhuDane ki baat
koi kya samajh kar kuchh us se kahe
na mane jo apne be-gane ki baat
na kah baiThe rahna main aata hun jald
ki hai ye hamare uThane ki baat
chhupai na mujh se gai kya kahun
mohabbat mein thi jo chhupane ki baat
'turab' aur kya is se ziyaada kahe
suna de jo kuchh thi sunane ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.