ai dil-e-ghaflat-zada bedar ho sota hai kya
ai dil-e-ghaflat-zada bedar ho sota hai kya
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
ai dil-e-ġhaflat-zada bedār ho sotā hai kyā
umr āḳhir ho chukī ab dekhe hotā hai kyā
is jahāñ ke rañj par albatta ronā chāhiye
is jahāñ ke dard-o-rahmat par koī rotā hai kyā
dam ġhanīmat hai na ho ġhāfil ḳhudā se ek dam
zindagī ne.amat hai ġhaflat meñ use khotā hai kyā
mazra.a-e-uqbā hai duniyā is meñ kuchh shu.bha nahīñ
khet hai maujūd is meñ dekhiye botā hai kyā
sūfiyoñ ko tasfiya dil kā muqaddam hai 'turāb'
qalb hai jis kā mulavvis vo badan dhotā hai kyā
ai dil-e-ghaflat-zada bedar ho sota hai kya
umr aaKHir ho chuki ab dekhe hota hai kya
is jahan ke ranj par albatta rona chahiye
is jahan ke dard-o-rahmat par koi rota hai kya
dam ghanimat hai na ho ghafil KHuda se ek dam
zindagi neamat hai ghaflat mein use khota hai kya
mazra-e-uqba hai duniya is mein kuchh shubha nahin
khet hai maujud is mein dekhiye bota hai kya
sufiyon ko tasfiya dil ka muqaddam hai 'turab'
qalb hai jis ka mulawwis wo badan dhota hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.