dekh kar zulf-e-siyah maftun-o-shaida ho gaya
dekh kar zulf-e-siyah maftun-o-shaida ho gaya
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
dekh kar zulf-e-siyah maftūn-o-shaida ho gayā
ai dil-e-dīvāna kyā tujh ko ye saudā ho gayā
aql-o-hosh-o-sabr-o-tastīñ ram hue sab ishq meñ
haaye sab sāthī mere bichhḌe maiñ tanhā ho gayā
yaaro merā rañg kuchh us par na aayā ab talak
maiñ to us ke ishq meñ rañgīñ sarāpā ho gayā
kis tarah yaarī se us kī mujh ko be-zārī na ho
āshnā ġhairoñ se ab to yaar merā ho gayā
jūñhī majlis se mire kal uTh gayā vo sarv-qad
jhaT qiyāmat ā-ga.ī aur hashr barpā ho gayā
raat yaañ charchā thā kuchh us kā ki aa vo pahūñchā shoḳh
sab lage muñh dekhne turfa tamāsha ho gayā
chhā gayā āñkhoñ meñ nashsha bhar gayā dil meñ surūr
ġham nahīñ garmī se ḳhālī jām-o-mīnā ho gayā
qum-be-iznī kah ke āshiq ko jalā detā hai vo
qum-be-iznī allāh ejāz-e-masīhā ho gayā
Husn-e-ḳhidmat se huā mahmūd kā pyārā ayaaz
is qadar kī bandagī us ne ki maulā ho gayā
haath un kā chūmte haiñ hote haiñ sab dast-e-bai'
vaah kyā mashā.ikH yad-e-baizā ho gayā
kyā ho agar husn meñ shohrat huī us kī 'turāb'
maiñ to us ke ishq meñ badnām-o-rusvā ho gayā
dekh kar zulf-e-siyah maftun-o-shaida ho gaya
ai dil-e-diwana kya tujh ko ye sauda ho gaya
aql-o-hosh-o-sabr-o-tastin ram hue sab ishq mein
haye sab sathi mere bichhDe main tanha ho gaya
yaro mera rang kuchh us par na aaya ab talak
main to us ke ishq mein rangin sarapa ho gaya
kis tarah yari se us ki mujh ko be-zari na ho
aashna ghairon se ab to yar mera ho gaya
junhi majlis se mere kal uTh gaya wo sarw-qad
jhaT qiyamat aa-gai aur hashr barpa ho gaya
raat yan charcha tha kuchh us ka ki aa wo pahuncha shoKH
sab lage munh dekhne turfa tamasha ho gaya
chha gaya aankhon mein nashsha bhar gaya dil mein surur
gham nahin garmi se KHali jam-o-mina ho gaya
qum-be-izni kah ke aashiq ko jala deta hai wo
qum-be-izni allah ejaz-e-masiha ho gaya
Husn-e-KHidmat se hua mahmud ka pyara ayaz
is qadar ki bandagi us ne ki maula ho gaya
hath un ka chumte hain hote hain sab dast-e-bai'
wah kya mashaikH yad-e-baiza ho gaya
kya ho agar husn mein shohrat hui us ki 'turab'
main to us ke ishq mein badnam-o-ruswa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.