mil gaya ghairon se jhaT humse judai kar gaya
mil gaya ghairon se jhaT humse judai kar gaya
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
mil gayā ġhairoñ se jhaT ham se judā.ī kar gayā
be-vafā thā jab to aisī bevafā.ī kar gayā
koī is nā-āshnā se āshnā.ī kyā kare
āshnā se apne jo nā-āshnā.ī kar gayā
aañkh auroñ se laḌā.ī pher lī ham se nigāh
sulh jā dushman se kī mujh se laḌā.ī kar gayā
dekh kar raste meñ mujh ko phir gayā katrā ke raah
shoḳh rāh-e-sharm se kyā kaj-adā.ī kar gayā
ham nahīñ karne ke us kī ḳhair-ḳhvāhī meñ qusūr
kyā huā gar ham se vo zālim burā.ī kar gayā
zindagī-o-marg ik a.alam kī us ke haath thī
apne daur-husn meñ vo but ḳhudā.ī kar gayā
jīte-jīte tū kabhī dil se na bhūlegā 'turāb'
chalte-chalte yaar jo mujh se rukhā.ī kar gayā
mil gaya ghairon se jhaT hum se judai kar gaya
be-wafa tha jab to aisi bewafai kar gaya
koi is na-ashna se aashnai kya kare
aashna se apne jo na-ashnai kar gaya
aankh auron se laDai pher li hum se nigah
sulh ja dushman se ki mujh se laDai kar gaya
dekh kar raste mein mujh ko phir gaya katra ke rah
shoKH rah-e-sharm se kya kaj-adai kar gaya
hum nahin karne ke us ki KHair-KHwahi mein qusur
kya hua gar hum se wo zalim burai kar gaya
zindagi-o-marg ek aalam ki us ke hath thi
apne daur-husn mein wo but KHudai kar gaya
jite-jite tu kabhi dil se na bhulega 'turab'
chalte-chalte yar jo mujh se rukhai kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.