yun dar-e-sarkar raushan hai ziya-daron ke bich
yuuñ dar-e-sarkār raushan hai ziyā-dāroñ ke biich
jaise raushan āsmāñ par chāñd hai tāroñ ke biich
rahmat-e-haq josh meñ aa jā.egī roz-e-hisāb
jalva-farmā dekh kar un ko gunah-gāroñ ke biich
us se baḌh kar hogī kyā ḳhulq-e-mujassam kī misāl
rakh diyā kirdār un kā ā.īna-dāroñ ke biich
kyā kaheñ kūche meñ un ke hosh meñ ham kab rahe
kho ga.e the zehn-o-dil pur-nūr nazzāroñ ke biich
lams jis kā baḳhsh de bujhte diloñ ko zindagī
kaash aa jaa.e masīhā aisā bīmāroñ ke biich
ho nahīñ saktī misāl-e-'azm-e-shabbīrī kahīñ
ik anā kā bāñkpan hai kitnī talvāroñ ke biich
mid.hat-e-shāh-e-do-'ālam kā sharf milnā hī thā
muddatoñ baiThe haiñ 'shāhid' ham bhī fankāroñ ke biich
yun dar-e-sarkar raushan hai ziya-daron ke bich
jaise raushan aasman par chand hai taron ke bich
rahmat-e-haq josh mein aa jaegi roz-e-hisab
jalwa-farma dekh kar un ko gunah-garon ke bich
us se baDh kar hogi kya KHulq-e-mujassam ki misal
rakh diya kirdar un ka aaina-daron ke bich
kya kahen kuche mein un ke hosh mein hum kab rahe
kho gae the zehn-o-dil pur-nur nazzaron ke bich
lams jis ka baKHsh de bujhte dilon ko zindagi
kash aa jae masiha aisa bimaron ke bich
ho nahin sakti misal-e-'azm-e-shabbiri kahin
ek ana ka bankpan hai kitni talwaron ke bich
midhat-e-shah-e-do-'alam ka sharf milna hi tha
muddaton baiThe hain 'shahid' hum bhi fankaron ke bich
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 180)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.