sailab dard ka hai aabid ke aansuon mein
sailāb dard kā hai aabid ke āñsuoñ meñ
kohsār-e-ġham chhupā hai aabid ke āñsuoñ meñ
zulm-e-yazīd chhalke sabr-e-husain chamke
rūdād-e-karbalā hai ‘ābid ke āñsuoñ meñ
aadam ke ba.ad haiñ ye do rone vaalī āñkheñ
tārīḳh-e-rūnumā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
har qatra-e-guhar ko dāman meñ apne le lo
faizān-e-kibriyā hai aabid ke āñsuoñ meñ
ujḌe hue manāzir bha deñge dāman-e-dil
har shaam be-ridā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ġham shāh-e-karbalā kā dil meñ basā ke dekho
ḳhud jaan loge kyā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
bas dīda-var hī 'shāhid' samjhegā ye haqīqat
ehsās karb kā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
sailab dard ka hai aabid ke aansuon mein
kohsar-e-gham chhupa hai aabid ke aansuon mein
zulm-e-yazid chhalke sabr-e-husain chamke
rudad-e-karbala hai ‘abid ke aansuon mein
aadam ke baad hain ye do rone wali aankhen
tariKH-e-runuma hai 'abid ke aansuon mein
har qatra-e-guhar ko daman mein apne le lo
faizan-e-kibriya hai aabid ke aansuon mein
ujDe hue manazir bha denge daman-e-dil
har sham be-rida hai 'abid ke aansuon mein
gham shah-e-karbala ka dil mein basa ke dekho
KHud jaan loge kya hai 'abid ke aansuon mein
bas dida-war hi 'shahid' samjhega ye haqiqat
ehsas karb ka hai 'abid ke aansuon mein
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 181)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.