yaad aae raat-bhar gesu-e-sultan-e-jamal
yaad aa.e rāt-bhar gesū-e-sultān-e-jamāl
shab-zadoñ ke ghar pe barsā kHuub bārān-e-jamāl
pahuñchī un ke rū-e-anvar par to phir palTī nahīñ
ho ga.ī har ik nigāh-e-ishq qurbān-e-jamāl
anjuman meñ aap kī shams-o-qamar kā tazkira
vo kare rakhtā na ho jo shaḳhs ’irfān-e-jamāl
ḳhud-baḳhud hī jhuk ga.ī fart-e-’aqīdat se jabīñ
ban gayā un kā adab hī aaj darbān-e-jamāl
nazr sab dandān kar ke 'āshiq-e-dil-gīr ne
de diyā ham ko shu.ūr-e-zikr dandān-e-jamāl
tā-qiyāmat chaar yār-e-mustafā kī shakl meñ
jagmagā.eñge diloñ meñ ban ke arkān-e-jamāl
jalva-e-sarkār ne 'shāhid' ujālā kar diyā
baḌh rahā thā dil kī jānib mere fuqdān-e-jamāl
yaad aae raat-bhar gesu-e-sultan-e-jamal
shab-zadon ke ghar pe barsa kHub baran-e-jamal
pahunchi un ke ru-e-anwar par to phir palTi nahin
ho gai har ek nigah-e-ishq qurban-e-jamal
anjuman mein aap ki shams-o-qamar ka tazkira
wo kare rakhta na ho jo shaKHs ’irfan-e-jamal
KHud-baKHud hi jhuk gai fart-e-’aqidat se jabin
ban gaya un ka adab hi aaj darban-e-jamal
nazr sab dandan kar ke 'ashiq-e-dil-gir ne
de diya hum ko shuur-e-zikr dandan-e-jamal
ta-qiyamat chaar yar-e-mustafa ki shakl mein
jagmagaenge dilon mein ban ke arkan-e-jamal
jalwa-e-sarkar ne 'shahid' ujala kar diya
baDh raha tha dil ki jaanib mere fuqdan-e-jamal
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.