dushmanon ke darmiyan bhi KHauf kab zainab mein hai
dushmanon ke darmiyan bhi KHauf kab zainab mein hai
Shahid Raza Shahjahanpuri
MORE BYShahid Raza Shahjahanpuri
dushmanoñ ke darmiyāñ bhī ḳhauf kab zainab meñ hai
hazrat-e-shabbīr sā ġhaiz-o-ġhazab zainab meñ hai
bāp-beTe bhaa.ī sab diiñ par nichhāvar kar diye
jazba-e-īsār-o-qurbānī 'ajab zainab meñ hai
kūfiyoñ kī qaid meñ bhī hai sharī’at kā lihāz
is qadar sharm-e-nabī aur ḳhauf-e-rab zainab meñ hai
'ilm-o-taqvā pārsā.ī jo nihāñ zahrā meñ thā
rabb-e-tā'lā kī 'ināyat se vo sab zainab meñ hai
ġhair kī nazreñ zarā apnī taraf uThne na deñ
be-ridā.ī meñ bhī yuuñ pās-e-adab zainab meñ hai
fātima ke misal qurbānī na kyuuñ detīñ bhalā
sar se pā tak fātima kā 'aks jab zainab meñ hai
diin kī ḳhātir ai 'shāhid' sah ke ġham hañste hue
apnā sab qurbān kar dene kā Dhab zainab meñ hai
dushmanon ke darmiyan bhi KHauf kab zainab mein hai
hazrat-e-shabbir sa ghaiz-o-ghazab zainab mein hai
bap-beTe bhai sab din par nichhawar kar diye
jazba-e-isar-o-qurbani 'ajab zainab mein hai
kufiyon ki qaid mein bhi hai shari’at ka lihaz
is qadar sharm-e-nabi aur KHauf-e-rab zainab mein hai
'ilm-o-taqwa parsai jo nihan zahra mein tha
rabb-e-ta'la ki 'inayat se wo sab zainab mein hai
ghair ki nazren zara apni taraf uThne na den
be-ridai mein bhi yun pas-e-adab zainab mein hai
fatima ke misal qurbani na kyun detin bhala
sar se pa tak fatima ka 'aks jab zainab mein hai
din ki KHatir ai 'shahid' sah ke gham hanste hue
apna sab qurban kar dene ka Dhab zainab mein hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.