shaiKH agar tu ne nazar jag se uThai hoti
shaiKH agar tu ne nazar jag se uThai hoti
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
shaiḳh agar tū ne nazar jag se uThā.ī hotī
kab 'ibādat tirī nāqis o riyā.ī hotī
Thiik us vaqt tirī rāh-numā.ī hotī
yaar ke ghar kī mujhe raah batā.ī hotī
jis ke bā'is na kabhī yaar se hotī ġhaflat
nāsehā mujh ko vo tadbīr sikhā.ī hotī
yaaro vāsil-ba-haq is tarh na hotā 'āshiq
us bichāre ko agar tāb-e-judā.ī hotī
jal ke parvāna huā ḳhaak huā jī uThtā
gor par us ke jo phir sham.a jalā.ī hotī
shahr kyā chhoḌ ke baiThā hai tū jañgal meñ 'turāb'
pahle hastī kī dukāñ apnī luTā.ī hotī
shaiKH agar tu ne nazar jag se uThai hoti
kab 'ibaadat teri naqis o riyai hoti
Thik us waqt teri rah-numai hoti
yar ke ghar ki mujhe rah batai hoti
jis ke ba'is na kabhi yar se hoti ghaflat
naseha mujh ko wo tadbir sikhai hoti
yaro wasil-ba-haq is tarh na hota 'ashiq
us bichaare ko agar tab-e-judai hoti
jal ke parwana hua KHak hua ji uThta
gor par us ke jo phir shama jalai hoti
shahr kya chhoD ke baiTha hai tu jangal mein 'turab'
pahle hasti ki dukan apni luTai hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.