naqsh fitrat ne jo ubhaare hain
naqsh fitrat ne jo ubhāre haiñ
kuchh kinā.e haiñ kuchh ishāre haiñ
ham se pūchho bahār-e-jalva-e-dost
ham ne furqat ke din guzāre haiñ
raunaq-e-charḳh dekhne vaalo
kuchh zamīñ par bhī chāñd taare haiñ
tum zamāne ke ho hamāre sivā
ham kisī ke nahīñ tumhār haiñ
jab nazāre na the nigāheñ thiiñ
ab nigāheñ nahīñ nazāre haiñ
ham se zinda thī zindagī kal tak
aaj ham zindagī ke maare haiñ
dekh kar haath Dālnā gulchīñ
ab ye ġhunche nahīñ sharāre haiñ
jin ko aañsū samajh rahe ho 'shakīl'
dil ke TuuTe hue sahāre haiñ
naqsh fitrat ne jo ubhaare hain
kuchh kinae hain kuchh ishaare hain
hum se puchho bahaar-e-jalwa-e-dost
hum ne furqat ke din guzare hain
raunaq-e-charKH dekhne walo
kuchh zamin par bhi chand tare hain
tum zamane ke ho hamare siwa
hum kisi ke nahin tumhaar hain
jab nazare na the nigahen thin
ab nigahen nahin nazare hain
hum se zinda thi zindagi kal tak
aaj hum zindagi ke mare hain
dekh kar hath Dalna gulchin
ab ye ghunche nahin sharare hain
jin ko aansu samajh rahe ho 'shakil'
dil ke TuTe hue sahaare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.