ruKH kiye hain teri jaanib saqi-e-mai-KHana ab
ruḳh kiye haiñ terī jānib sāqi-e-mai-ḳhāna ab
shakl-e-nazrāna malegā piine ko paimāna ab
be-ḳhudī taarī rahe piitā rahe paimāna ab
is liye bhī hosh meñ aatā nahīñ dīvāna ab
bas isī ummīd par kaasa liye baiThā huuñ maiñ
merā kaasa bhī bhareñge bānī-e-kashāna ab
is qadar pur-nūr aur pākīza mahfil maah meñ
kaash ki ho mun.aqid mahfil ka.ī haftāna ab
phir rahā huuñ bastī-bastī sahrā-sahrā is liye
tālib-e-dīdār hai ye jalva-e-jānāna ab
naqsh-e-pā kī dhuul māthe par lagāne ke liye
DhūñDhtā hai naqsh-e-pā ko aap kā dīvāna ab
khānā piinā ġhair kā to tark hai apnā 'shakīl'
aap kā piinā hai paanī aap kā hai khānā ab
ruKH kiye hain teri jaanib saqi-e-mai-KHana ab
shakl-e-nazrana malega pine ko paimana ab
be-KHudi tari rahe pita rahe paimana ab
is liye bhi hosh mein aata nahin diwana ab
bas isi ummid par kasa liye baiTha hun main
mera kasa bhi bharenge bani-e-kashana ab
is qadar pur-nur aur pakiza mahfil mah mein
kash ki ho munaqid mahfil kai haftana ab
phir raha hun basti-basti sahra-sahra is liye
talib-e-didar hai ye jalwa-e-jaanana ab
naqsh-e-pa ki dhul mathe par lagane ke liye
DhunDhta hai naqsh-e-pa ko aap ka diwana ab
khana pina ghair ka to tark hai apna 'shakil'
aap ka pina hai pani aap ka hai khana ab
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 234)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.