kya bharosa yahan zindagani ka hai
kyā bharosa yahāñ zindagānī kā hai
intizār aap kī mehrbānī kā hai
dard-e-ġhurbat meñ ham mubtalā haiñ to kyā
hausla aaj bhī mezbānī kā hai
tujh ko chāhā karūñ tujh pe qurbāñ rahūñ
is se baḌh kar junūñ kyā javānī kā hai
bhīnī bhīnī havā ḳhushbuoñ kī fazā
aaj mauqa.a tirī mehrbānī kā hai
taaj sar par nahīñ rah gayā hai to kyā
naam ab bhī mirī hukmarānī kā hai
us ke tārīk pahlū pe chup hai zabāñ
yuuñ to charchā bahut ḳhush-bayānī kā hai
ek tū hī nahīñ un pe 'gauhar' fidā
duur tak silsila vasf ḳhvānī kā hai
kya bharosa yahan zindagani ka hai
intizar aap ki mehrbani ka hai
dard-e-ghurbat mein hum mubtala hain to kya
hausla aaj bhi mezbani ka hai
tujh ko chaha karun tujh pe qurban rahun
is se baDh kar junun kya jawani ka hai
bhini bhini hawa KHushbuon ki faza
aaj mauqa teri mehrbani ka hai
taj sar par nahin rah gaya hai to kya
nam ab bhi meri hukmarani ka hai
us ke tarik pahlu pe chup hai zaban
yun to charcha bahut KHush-bayani ka hai
ek tu hi nahin un pe 'gauhar' fida
dur tak silsila wasf KHwani ka hai
- Book : Gard-o-Gobaar (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.