andar ka haal jo bhi ho mahrab samne
andar kā haal jo bhī ho mahrāb sāmne
tārīkiyoñ meñ ġharq vo mahtāb sāmne
suulī pe chaḌh gayā maiñ hī 'azīm thā
kuchh bhī to hote jurm ke asbāb sāmne
ab kyā hai merī dhuum hai lekin kise ḳhabar
kis rāste se aa.e haiñ alqāb sāmne
phir aa rahā hai yaad vo manzar ki ek baar
dushman ke saath aa.e the ahbāb sāmne
nā-kāmī-e-hayāt kā har aks rū-ba-rū
ta.abīr DhūñDhtā huuñ tū har ḳhvāb sāmne
vo bhiiḌ se guzar ga.e fan se the āshnā
ham phañs ga.e ki mil ga.e ahbāb sāmne
andar ka haal jo bhi ho mahrab samne
tarikiyon mein gharq wo mahtab samne
suli pe chaDh gaya main hi 'azim tha
kuchh bhi to hote jurm ke asbab samne
ab kya hai meri dhum hai lekin kise KHabar
kis raste se aae hain alqab samne
phir aa raha hai yaad wo manzar ki ek bar
dushman ke sath aae the ahbab samne
na-kaami-e-hayat ka har aks ru-ba-ru
tabir DhunDhta hun tu har KHwab samne
wo bhiD se guzar gae fan se the aashna
hum phans gae ki mil gae ahbab samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.