bahaar aai hai gulshan mein wahi phir rang-e-mahfil hai
bahaar aai hai gulshan mein wahi phir rang-e-mahfil hai
Shams Firangi Mahali
MORE BYShams Firangi Mahali
bahār aa.ī hai gulshan meñ vahī phir rañg-e-mahfil hai
kisī jā ḳhanda-e-gul hai kahīñ shor-e-’anādil hai
ilāhī ḳhair karnā qatl-gah meñ saḳht mushkil hai
udhar bārish hai tīroñ kī idhar zaḳhmī mirā dil hai
sisakte hoñge lākhoñ saiñkaḌoñ be-dam paḌe hoñge
sun ai qāsid yahī achchhā nishān-e-kū-e-qātil hai
na.ī sūrat se mere qatl ko vo aaj aate haiñ
barahna teġh hai ik haath meñ ik haath meñ dil hai
tamāshā dīdanī hai qatl-gah meñ saḳht-jānī kā
idhar maiñ ziist se nādim udhar sharminda qātil hai
lagā.ī teġh muñh pherā chale ye bhī na farmāyā
are o marne vaale ye to kah kyā hasrat-e-dil hai
vo rusvā.ī ko Dartā hai yahāñ hai vasl kī ḳhvāhish
yahī bas ek aafat hai yahī ai ‘shams' mushkil hai
bahaar aai hai gulshan mein wahi phir rang-e-mahfil hai
kisi ja KHanda-e-gul hai kahin shor-e-’anadil hai
ilahi KHair karna qatl-gah mein saKHt mushkil hai
udhar barish hai tiron ki idhar zaKHmi mera dil hai
sisakte honge lakhon sainkaDon be-dam paDe honge
sun ai qasid yahi achchha nishan-e-ku-e-qatil hai
nai surat se mere qatl ko wo aaj aate hain
barahna tegh hai ek hath mein ek hath mein dil hai
tamasha didani hai qatl-gah mein saKHt-jaani ka
idhar main zist se nadim udhar sharminda qatil hai
lagai tegh munh phera chale ye bhi na farmaya
are o marne wale ye to kah kya hasrat-e-dil hai
wo ruswai ko Darta hai yahan hai wasl ki KHwahish
yahi bas ek aafat hai yahi ai ‘shams' mushkil hai
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.