mai-KHana mein ajib tamasha nazar paDa
mai-ḳhāna meñ 'ajīb tamāshā nazar paḌā
koī idhar paḌā hai to koī udhar paḌā
maiñ ne uThā liyā use apnā samajh ke dil
shīsha bhī koī raah meñ paayā agar paḌā
aayā karo hamāre bhī ghar par kabhī kabhī
farmāo to sahī tumheñ kis kā hai Dar paḌā
kyā jaane kyā huā mire ḳhat ke javāb ko
kyā jaane kis balā meñ mirā nāma-bar paḌā
uThne kī bhī to zo'f se tāqat nahīñ rahī
chilman kī tarah huuñ maiñ dar-e-yār par paḌā
ai charḳh be-kasoñ ko satāna nahīñ hai kHuub
miT jā.egā to sabr hamārā agar paḌā
saarī nigāh-e-shauq kī hasrat nikal ga.ī
thā shab ko kHvāb-e-nāznīñ vo be-ḳhabar paḌā
mai-KHana mein 'ajib tamasha nazar paDa
koi idhar paDa hai to koi udhar paDa
main ne uTha liya use apna samajh ke dil
shisha bhi koi rah mein paya agar paDa
aaya karo hamare bhi ghar par kabhi kabhi
farmao to sahi tumhein kis ka hai Dar paDa
kya jaane kya hua mere KHat ke jawab ko
kya jaane kis bala mein mera nama-bar paDa
uThne ki bhi to zo'f se taqat nahin rahi
chilman ki tarah hun main dar-e-yar par paDa
ai charKH be-kason ko satana nahin hai kHub
miT jaega to sabr hamara agar paDa
sari nigah-e-shauq ki hasrat nikal gai
tha shab ko kHwab-e-naznin wo be-KHabar paDa
- Book : Diwan-e-Shams (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.