be-amal jhuTa farebi hai bad-atwar bhi hai
be-amal jhūTā farebī hai bad-atvār bhī hai
aaj ke daur kā insāñ to adākār bhī hai
aql hairāñ hai ki jannat kā talab-gār bhī hai
dil ye duniyā kī mohabbat meñ giraftār bhī hai
chāhne vāloñ kā mela hai tumhār atrāf
un meñ hamdam yā koī mūnis-o-ġham-ḳhvār bhī hai
apnī qismat pe maiñ nāzāñ huuñ ki dilbar merā
ḳhūbsūrat hai sajīlā hai vafādār bhī hai
tuune ilzām lagā to diyā ġhaddārī kā
ye batā kyā tire da.ave kā kuchh ādhār bhī hai
kis ko rūdād sunā.ūñ ki sabhī pūchhte haiñ
dāstāñ kyā tirī sunñe meñ pur-asrār bhī hai
sahl itnī bhī nahīñ shaad mohabbat kī Dagar
phuul us par haiñ kahīñ to kahīñ ḳhaar bhī hai
be-amal jhuTa farebi hai bad-atwar bhi hai
aaj ke daur ka insan to adakar bhi hai
aql hairan hai ki jannat ka talab-gar bhi hai
dil ye duniya ki mohabbat mein giraftar bhi hai
chahne walon ka mela hai tumhaar atraf
un mein hamdam ya koi munis-o-gham-KHwar bhi hai
apni qismat pe main nazan hun ki dilbar mera
KHubsurat hai sajila hai wafadar bhi hai
tune ilzam laga to diya ghaddari ka
ye bata kya tere dawe ka kuchh aadhaar bhi hai
kis ko rudad sunaun ki sabhi puchhte hain
dastan kya teri sunne mein pur-asrar bhi hai
sahl itni bhi nahin shad mohabbat ki Dagar
phul us par hain kahin to kahin KHar bhi hai
- Book : Harf-e-Isbat (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.