Sufinama

naz wo bhi ek muTThi KHak par

Shamshad Shaad

naz wo bhi ek muTThi KHak par

Shamshad Shaad

MORE BYShamshad Shaad

    naaz vo bhī ek muTThī ḳhaak par

    uḌ rahe ho kāġhzī aflāk par

    saaf aur shaffāf rakh kirdār ko

    ġham na kar jo daaġh hai poshāk par

    tanziya bāteñ tumhārī aaj bhī

    naqsh haiñ mere dil-e-namnāk par

    dar-haqīqat ḳhvāhishoñ ke ghaav haiñ

    dosto is dāman-e-sad-chāk par

    kyā pata kab dhokā de jaaye tujhe

    mat bharosa rakh dil-e-chālāk par

    ghūmtā hai mustaqil har aadmī

    zindagī bhar zindagī ke chaak par

    sar paTaktī haiñ havā.eñ aaj bhī

    bebasī se karbalā ḳhaak par

    daad ke saare khzāne vaar duuñ

    'shād' tere lahja-e-be-bāk par

    naz wo bhi ek muTThi KHak par

    uD rahe ho kaghzi aflak par

    saf aur shaffaf rakh kirdar ko

    gham na kar jo dagh hai poshak par

    tanziya baaten tumhaari aaj bhi

    naqsh hain mere dil-e-namnak par

    dar-haqiqat KHwahishon ke ghaw hain

    dosto is daman-e-sad-chaak par

    kya pata kab dhoka de jaye tujhe

    mat bharosa rakh dil-e-chaalak par

    ghumta hai mustaqil har aadmi

    zindagi bhar zindagi ke chaak par

    sar paTakti hain hawaen aaj bhi

    bebasi se karbala ki KHak par

    dad ke sare khzane war dun

    'shad' tere lahja-e-be-bak par

    Source :
    • Book : Harf-e-Isbat (Pg. 94)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now