lab samne kisi ke kahan kholte hain log
lab sāmne kisī ke kahāñ kholte haiñ log
pīchhe to shaah ko bhī burā bolte haiñ log
ma.adūm ho ga.e haiñ jahāñ se vafā ḳhulūs
rishtoñ meñ zahar phir bhī magar gholte haiñ log
qur.āñ meñ itnī saḳht hidāyat ke bāvajūd
afsos len-den meñ kam tolte haiñ log
pahle kī tarah fikr ke sāhil pe baiTh kar
lafzoñ ke motī aaj kahāñ rolte haiñ log
īmāñ kā imtihān liyā jaaye to yahāñ
kamzor kashtiyoñ kī tarah Dolte haiñ log
kaise kisī ke dil meñ samā.ae koī ki ab
dil ke darīche sab pe kahāñ kholte haiñ
auroñ se ḳhair chhoḌiye is ahd meñ tū 'shād'
ḳhud apne aap se bhī nahīñ bolte haiñ log
lab samne kisi ke kahan kholte hain log
pichhe to shah ko bhi bura bolte hain log
madum ho gae hain jahan se wafa KHulus
rishton mein zahar phir bhi magar gholte hain log
quran mein itni saKHt hidayat ke bawajud
afsos len-den mein kam tolte hain log
pahle ki tarah fikr ke sahil pe baiTh kar
lafzon ke moti aaj kahan rolte hain log
iman ka imtihan liya jaye to yahan
kamzor kashtiyon ki tarah Dolte hain log
kaise kisi ke dil mein samaae koi ki ab
dil ke dariche sab pe kahan kholte hain
auron se KHair chhoDiye is ahd mein tu 'shad'
KHud apne aap se bhi nahin bolte hain log
- Book : Harf-e-Isbat (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.