jaane kyun rozgar-e-duniya se
jaane kyuuñ rozgār-e-duniyā se
ham ko vahshat hai kār-e-duniyā se
ḳhvāhishoñ ne jakaḌ rakhā hai hameñ
kaise nikleñ hisār-e-duniyā se
ik na ik din niDhāl ho ke tumheñ
bāhar aanā hai ġhār-e-duniyā se
ham musāfir haiñ āḳhirash ham bhī
jā.eñge rahguzār duniyā se
ab yahī qabr hai tarah maskan
bāhar aa jā ḳhumār duniyā se
ham to duniyā parast haiñ ham kyā
duur rahte madār-e-duniyā se
roz-e-avval se gulshan-e-dil meñ
raunaqeñ haiñ bahār-e-duniyā se
ruuh ko bhī to ġhusl hai darkār
aT ga.ī hai ġhubār duniyā se
'shād' dānista kuchh darīda dahan
haiñ alag kār-o-bār duniyā se
jaane kyun rozgar-e-duniya se
hum ko wahshat hai kar-e-duniya se
KHwahishon ne jakaD rakha hai hamein
kaise niklen hisar-e-duniya se
ek na ek din niDhaal ho ke tumhein
bahar aana hai ghaar-e-duniya se
hum musafir hain aaKHirash hum bhi
jaenge rahguzar duniya se
ab yahi qabr hai tarah maskan
bahar aa ja KHumar duniya se
hum to duniya parast hain hum kya
dur rahte madar-e-duniya se
roz-e-awwal se gulshan-e-dil mein
raunaqen hain bahaar-e-duniya se
ruh ko bhi to ghusl hai darkar
aT gai hai ghubar duniya se
'shad' danista kuchh darida dahan
hain alag kar-o-bar duniya se
- Book : Harf-e-Isbat (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.