Sufinama

sakun muyassar kabhi na aaya mujhe to duniya-e-pur-fitan mein

Shamshad Shaad

sakun muyassar kabhi na aaya mujhe to duniya-e-pur-fitan mein

Shamshad Shaad

MORE BYShamshad Shaad

    sakūñ muyassar kabhī na aayā mujhe to duniyā-e-pur-fitan meñ

    maiñ jism se bāhar aake ḳhush huuñ mujhe na lauTā mire badan meñ

    ravish jahāñ badal ga.ī hai na ḳhauf-e-duniyā na ḳhauf-e-mahshar

    muravvateñ ab nahīñ diloñ meñ sitam-zarīfī hai bas chalan meñ

    to kis liye phir yahāñ pe karte ho zeb-tan ye libās-e-zarīñ

    abad tilak jab lahad meñ rahnā hai sab ko miTTī ke pairahan meñ

    sab us marzī pe munhasir hai vo sūkhī Tahnī meñ jaan Daale

    na chhoḌ dāman ummīd hai jab talak jaañ nahīf tan meñ

    mujhe tire tazkire se nafrat ho ga.ī thī ye baat sach hai

    par ab to ye haal hai ke har pal magan huuñ bas terī lagan meñ

    hai kitnī lāchār zindagānī ki ba.ad az marg-e-nā-gahānī

    chaah kar bhī na lauT pā.egā 'shād' is be-bisāt tan meñ

    sakun muyassar kabhi na aaya mujhe to duniya-e-pur-fitan mein

    main jism se bahar aake KHush hun mujhe na lauTa mere badan mein

    rawish jahan ki badal gai hai na KHauf-e-duniya na KHauf-e-mahshar

    murawwaten ab nahin dilon mein sitam-zarifi hai bas chalan mein

    to kis liye phir yahan pe karte ho zeb-tan ye libas-e-zarin

    abad tilak jab lahad mein rahna hai sab ko miTTi ke pairahan mein

    sab us ki marzi pe munhasir hai wo sukhi Tahni mein jaan Dale

    na chhoD daman ummid ka tu hai jab talak jaan nahif tan mein

    mujhe tere tazkire se nafrat si ho gai thi ye baat sach hai

    par ab to ye haal hai ke har pal magan hun bas teri hi lagan mein

    hai kitni lachaar zindagani ki baad az marg-e-na-gahani

    tu chah kar bhi na lauT paega 'shad' is be-bisat tan mein

    Source :
    • Book : Harf-e-Isbat (Pg. 247)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now