sadā ba-sūrat-e-sahrā nahīñ rahūñgā maiñ
tamām umar to pyāsā nahīñ rahūñgā maiñ
maiñ apne aap kā hone se yuuñ bhī Dartā huuñ
ki us ke ba.ad kisī kā nahīñ rahūñgā maiñ
bichhaḌte vaqt dilāsa mujhe vo kyā detā
vo jāntā thā ki zinda nahīñ rahūñgā maiñ
tū abkī-bār milegā to ḳhud hī dekhegā
tire gumān ke jaisā nahīñ rahūñgā maiñ
maiñ apnī zaat meñ ho jā۔ūñ gar sitāra bhī
kisī charāġh ko ḳhatra nahīñ rahūñgā maiñ
zamāna yuuñ hī karegā jo rā.egāñ 'at.har'
kisī kahānī kā hissa nahīñ rahūñgā maiñ
sada ba-surat-e-sahra nahin rahunga main
tamam umar to pyasa nahin rahunga main
main apne aap ka hone se yun bhi Darta hun
ki us ke baad kisi ka nahin rahunga main
bichhaDte waqt dilasa mujhe wo kya deta
wo jaanta tha ki zinda nahin rahunga main
tu abki-bar milega to KHud hi dekhega
tere guman ke jaisa nahin rahunga main
main apni zat mein ho ja۔un gar sitara bhi
kisi charagh ko KHatra nahin rahunga main
zamana yun hi karega jo raegan 'athar'
kisi kahani ka hissa nahin rahunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.