koī tilism-e-ḳhvāb thā ye ba.ad meñ khulā
vo shaḳhs ik sarāb thā ye ba.ad meñ khulā
ḳhush to bahut the saath samandar kā paake log
jo kuchh thā zer-e-āb thā ye ba.ad meñ khulā
tā umr jis kitāb meñ uljhe rahe the ham
vo ishq kā nisāb thā ye ba.ad meñ khulā
vo kam-suḳhan to auroñ pe kahtā rahā bahut
ham se hī ijtināb thā ye ba.ad meñ khulā
ham jis kī ḳhaak chhān ke aa.e the dar-ba-dar
vo yuuñ hī dastiyāb thā ye ba.ad meñ khulā
ham jis ko sā.ebān samajhte the mustaqil
sar par koī sahāb thā ye ba.ad meñ khulā
'at.har' kī sāf-goī ye mashkūk the sabhī
vo to khulī kitāb thā ye ba.ad meñ khulā
koi tilism-e-KHwab tha ye baad mein khula
wo shaKHs ek sarab tha ye baad mein khula
KHush to bahut the sath samandar ka pake log
jo kuchh tha zer-e-ab tha ye baad mein khula
ta umr jis kitab mein uljhe rahe the hum
wo ishq ka nisab tha ye baad mein khula
wo kam-suKHan to auron pe kahta raha bahut
hum se hi ijtinab tha ye baad mein khula
hum jis ki KHak chhan ke aae the dar-ba-dar
wo yun hi dastiyab tha ye baad mein khula
hum jis ko saeban samajhte the mustaqil
sar par koi sahab tha ye baad mein khula
'athar' ki saf-goi ye mashkuk the sabhi
wo to khuli kitab tha ye baad mein khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.