merī yādoñ se juḌe log kahāñ jā.eñge
chhoḌkar mujh ko mire log kahāñ jā.eñge
agle vaqtoñ ke suḳhan-var haiñ bahut ḳhuub magar
likhne vaale ye na.e log kahāñ jā.eñge
apne darbār meñ aane ko kahā hai us ne
yaar ham jaise khare log kahāñ jā.eñge
maiñ kisī tarah pahuñch jā.ūñgā manzil pe magar
merī dīvār bane log kahāñ jā.eñge
un ko tash.hīr ke maidāñ se alag hī rakhiye
aisī bātoñ meñ baḌe log kahāñ jā.eñge
jin ko duniyā kī samajh hī nahīñ koī 'at.har'
sochtā huuñ ye bhale log kahāñ jā.eñge
meri yaadon se juDe log kahan jaenge
chhoDkar mujh ko mere log kahan jaenge
agle waqton ke suKHan-war hain bahut KHub magar
likhne wale ye nae log kahan jaenge
apne darbar mein aane ko kaha hai us ne
yar hum jaise khare log kahan jaenge
main kisi tarah pahunch jaunga manzil pe magar
meri diwar bane log kahan jaenge
un ko tashhir ke maidan se alag hi rakhiye
aisi baaton mein baDe log kahan jaenge
jin ko duniya ki samajh hi nahin koi 'athar'
sochta hun ye bhale log kahan jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.