merī nīñdoñ ko uḌāte haiñ chale jaate haiñ
raftagāñ ḳhvāb meñ aate haiñ chale jaate haiñ
umr lagtī hai jahāñ qais se majnūñ bante
us meñ ’ujlat jo dikhāte haiñ chale jaate haiñ
is liye duur hī rahtā huuñ masīhāoñ se
ye na.e zaḳhm lagāte haiñ chale jaate haiñ
zulmat-e-shab ko farozāñ to bhalā kyā karte
ham diyā apnā jalāte haiñ chale jaate haiñ
bādbāñ jaise bhī kuchh log haiñ is duniyā meñ
ruḳh havāoñ kā batāte haiñ chale jaate haiñ
āsmānoñ meñ ye uḌte hue bādal 'at.har'
piyās sahrā kī baḌhāte haiñ chale jaate haiñ
meri nindon ko uDate hain chale jate hain
raftagan KHwab mein aate hain chale jate hain
umr lagti hai jahan qais se majnun bante
us mein ’ujlat jo dikhate hain chale jate hain
is liye dur hi rahta hun masihaon se
ye nae zaKHm lagate hain chale jate hain
zulmat-e-shab ko farozan to bhala kya karte
hum diya apna jalate hain chale jate hain
baadban jaise bhi kuchh log hain is duniya mein
ruKH hawaon ka batate hain chale jate hain
aasmanon mein ye uDte hue baadal 'athar'
piyas sahra ki baDhate hain chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.