sharī’at pe ho jis ko ḳhuub istaqāmat
vo kyūñ-kar na ho ahl-e-kashf-o-karāmat
zarūrat hai ilm ahal-e-irshād-o-haq ko
ki jāhil kī nā-mo'tabar hai imāmat
qiyāmat ke arse kā arsa nahīñ kuchh
mue jis ghaḌī do-hī din hai qayāmat
salāmat-ravī kā ho jis kā tarīqa
hai us vaqt meñ vo hī ahl-e-malāmat
yahī donoñ kaam aate haiñ āqibat meñ
raheñ dīn-o-īmān apne salāmat
nishāñ par lage us kā tīr-e-duā kab
na chila-kashī se jhuke jis kā qāmat
'turāb' intiqām-e-’amal hai musallam
jahāñ meñ balā hai gunāhoñ kī shāmat
shari’at pe ho jis ko KHub istaqamat
wo kyun-kar na ho ahl-e-kashf-o-karamat
zarurat hai ilm ahal-e-irshad-o-haq ko
ki jahil ki na-mo'tabar hai imamat
qiyamat ke arse ka arsa nahin kuchh
mue jis ghaDi do-hi din hai qayamat
salamat-rawi ka ho jis ka tariqa
hai us waqt mein wo hi ahl-e-malamat
yahi donon kaam aate hain aaqibat mein
rahen din-o-iman apne salamat
nishan par lage us ka tir-e-dua kab
na chila-kashi se jhuke jis ka qamat
'turab' intiqam-e-’amal hai musallam
jahan mein bala hai gunahon ki shamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.