ek mai-ḳhvār ko aur kyā chāhiye
jaam paimāna aur mai-kada chāhiye
zindagī kā mazā tum ko lenā hai gar
mai-kasho mai-kada DhūñDhnā chāhiye
ek riñd ko dekhā hai but kī tarah
jaam pī kar use jhūmnā chāhiye
jo bhī kahtā hai ki mai-kahsī hai ġhalat
us se is kī vaj.h pūchhnā chāhiye
ek mai-ḳhvār par tanz kariye magar
apne a.amāl bhī dekhnā chāhiye
jām-noshī ko āsān mat jāniye
us kī ḳhātir bhī ik aasrā chāhiye
yuuñ to mil jā.eñge laakh mahbūb par
mujh ko mahbūb-e-ġham āshnā chāhiye
mai-kada kī na barbād ho aabrū
ye bhī 'shāriq' tumheñ sochnā chāhiye
ek mai-KHwar ko aur kya chahiye
jam paimana aur mai-kada chahiye
zindagi ka maza tum ko lena hai gar
mai-kasho mai-kada DhunDhna chahiye
ek rind ko dekha hai but ki tarah
jam pi kar use jhumna chahiye
jo bhi kahta hai ki mai-kahsi hai ghalat
us se is ki wajh puchhna chahiye
ek mai-KHwar par tanz kariye magar
apne aamal bhi dekhna chahiye
jam-noshi ko aasan mat jaaniye
us ki KHatir bhi ek aasra chahiye
yun to mil jaenge lakh mahbub par
mujh ko mahbub-e-gham aashna chahiye
mai-kada ki na barbaad ho aabru
ye bhi 'shaariq' tumhein sochna chahiye
Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.