shoala mere nalon ka to pahuncha na kahin aaj
sho.ala mire nāloñ kā to pahuñchā na kahīñ aaj
kyuuñ kudne lagā ban ke dhuāñ charḳh-e-barīñ aaj
aa.ī thī sar-e-bazm vo khole hue zulfeñ
sar pīTte haiñ ham ki balā.eñ bhī na leñ aaj
bahzād kā kis tarh se chehra na utartā
maanī ko balā dī tirī tasvīr ne chiiñ aaj
kyā rañj hai kyuuñ baiThī ho ḳhāmosh jo pūchhā
farmāyā tabī'at nahīñ lagtī hai kahīñ aaj
kuchh kahtā hai aur muñh se nikaltā hai tire kuchh
hotā nahīñ qāsid tirī bātoñ kā yaqīñ aaj
dekheñ to mazā lūTtā hai kaun shab-e-vasl
maiñ ghaat meñ baiThā huuñ 'adū zer-e-kamīñ aaj
phir kal to mirā haath hai aur yaar kā dāman
sar se mire Tal jaa.e shab-e-hijr kahīñ aaj
yā hazrat-e-sajjād hai 'shauq' aap kā ḳhādim
kal hashr meñ us ke tumhīñ mālik ho tumhīñ aaj
shoala mere nalon ka to pahuncha na kahin aaj
kyun kudne laga ban ke dhuan charKH-e-barin aaj
aai thi sar-e-bazm wo khole hue zulfen
sar piTte hain hum ki balaen bhi na len aaj
bahzad ka kis tarh se chehra na utarta
mani ko bala di teri taswir ne chin aaj
kya ranj hai kyun baiThi ho KHamosh jo puchha
farmaya tabi'at nahin lagti hai kahin aaj
kuchh kahta hai aur munh se nikalta hai tere kuchh
hota nahin qasid teri baaton ka yaqin aaj
dekhen to maza luTta hai kaun shab-e-wasl
main ghat mein baiTha hun 'adu zer-e-kamin aaj
phir kal to mera hath hai aur yar ka daman
sar se mere Tal jae shab-e-hijr kahin aaj
ya hazrat-e-sajjad hai 'shauq' aap ka KHadim
kal hashr mein us ke tumhin malik ho tumhin aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.