shauq mein ab na rukenge dam-e-raftar qadam
shauq meñ ab na rukeñge dam-e-raftār qadam
duur ab manzil-e-maqsūd ho yā chaar qadam
dasht-e-zindāñ meñ Thaharte nahīñ zinhār qadam
tire kūche ke haiñ har-vaqt talab-gār qadam
ho ga.e kūcha-e-dildār meñ be-kār qadam
maiñ uThātā huuñ par uThte nahīñ zinhār qadam
allāh allāh nazākat se kisī kā chalnā
fitna-e-hashr ne chūme dam-e-raftār qadam
uTh ke aate haiñ bagūle mirī pā-bosī ko
maiñ jo rakhtā huuñ sar-e-vādī-e-pur-ḳhār qadam
ḳhūbi-e-baḳht ki shal ho ga.e paañv mire
rah ga.ī manzil-e-maqsūd jo do-chār qadam
ba-ḳhudā qabr kī ho jā.egī mushkil āsāñ
saath lāsha ke chaleñge jo vo do-chār qadam
ġhair jab tak na nikal jā.egā mahfil se tirī
ham na rakheñge tirī bazm meñ zinhār qadam
allāh allāh mujhe manzil-e-maqsūd kā shauq
sāya-e-tan se nikal jaatā huuñ do-chār qadam
maiñ ḳhafā ho ke jab uThā to vo bole 'kausar'
fitna-e-hashr ne chūme dam-e-raftār qadam
shauq mein ab na rukenge dam-e-raftar qadam
dur ab manzil-e-maqsud ho ya chaar qadam
dasht-e-zindan mein Thaharte nahin zinhaar qadam
tere kuche ke hain har-waqt talab-gar qadam
ho gae kucha-e-dildar mein be-kar qadam
main uThata hun par uThte nahin zinhaar qadam
allah allah nazakat se kisi ka chalna
fitna-e-hashr ne chume dam-e-raftar qadam
uTh ke aate hain bagule meri pa-bosi ko
main jo rakhta hun sar-e-wadi-e-pur-KHar qadam
KHubi-e-baKHt ki shal ho gae panw mere
rah gai manzil-e-maqsud jo do-chaar qadam
ba-KHuda qabr ki ho jaegi mushkil aasan
sath lasha ke chalenge jo wo do-chaar qadam
ghair jab tak na nikal jaega mahfil se teri
hum na rakhenge teri bazm mein zinhaar qadam
allah allah mujhe manzil-e-maqsud ka shauq
saya-e-tan se nikal jata hun do-chaar qadam
main KHafa ho ke jab uTha to wo bole 'kausar'
fitna-e-hashr ne chume dam-e-raftar qadam
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 181)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.