Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tishna-labi ka haal samundar se kya kahen

Sheikh Abu Saeed Safvi

tishna-labi ka haal samundar se kya kahen

Sheikh Abu Saeed Safvi

MORE BYSheikh Abu Saeed Safvi

    tishna-labī haal samundar se kyā kaheñ

    raushan zamīr sāqī-e-kausar se kyā kaheñ

    sub.h-e-azal kHūbī-o-shām-e-abad husn

    zulf-e-siyāh-o-rū-e-munavvar se kyā kaheñ

    ahl-e-nazar ho koī to us ko dikhā.eñ ham

    asrār-e-ishq-e-zāhid-e-ḳhud-sar se kyā kahīñ

    rahmat bahāna jo hai shafā.at ke vāste

    roz-e-hisāb dāvar-e-mahshar se kyā kaheñ

    vo jāntā hai sab mire dil kahe baġhair

    dil ke muāmlāt ko dil-bar se kyā kaheñ

    us ke mazāq-o-fahm se baalā hai ye 'sa.īd'

    suufī ke vārdāt ko shā.ir se kyā kaheñ

    tishna-labi ka haal samundar se kya kahen

    raushan zamir saqi-e-kausar se kya kahen

    subh-e-azal ki kHubi-o-sham-e-abad ka husn

    zulf-e-siyah-o-ru-e-munawwar se kya kahen

    ahl-e-nazar ho koi to us ko dikhaen hum

    asrar-e-ishq-e-zahid-e-KHud-sar se kya kahin

    rahmat bahana jo hai shafaat ke waste

    roz-e-hisab dawar-e-mahshar se kya kahen

    wo jaanta hai sab mere dil ki kahe baghair

    dil ke muamlat ko dil-bar se kya kahen

    us ke mazaq-o-fahm se baala hai ye 'said'

    sufi ke wardat ko shair se kya kahen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now