sheron mein nikhat-e-gesu-e-ali hai
sheroñ meñ nik.hat-e-gesū-e-alī hai
har sher mirā shāna kash-e-mū-e-alī hai
ka.abe meñ ḳhayāl-e-ruḳh-e-nekū-e-alī hai
allāh ke ghar meñ nazar sū-e-alī hai
ye mai nahīñ aks-e-ruḳh naikū-e-alī hai
mai-ḳhāna-e-irfān meñ ravāñ jū-e-alī hai
mauzūnī-e-qāmat yahī kahtī hai pukāre
allāh kā alif qāmat dil-jūī.alī hai
jis miim se bantā hai ahad sūrat-e-ahmad
meñ khul ke ye kah duuñ girah mū-e-alī hai
aate hī mahak uTThe gā sab hashr kā maidāñ
lakhoñ meñ jo chhuptī nahīñ vo bū-e-ali hai
ai arsh bulandī meñ zarā kam nahīñ tujh se
vo masnad-e-dīñ jo tahā zānū-e-alī hai
kaisā sag-e-lailā ki ye hai aur hī vaadī
us najd meñ lailā bhī sag-e-kū-e-alī hai
har ḳhū-e-alī bū-e-nabī kartī hai paidā
ḳhū-bū jo nabī kī hai vahī bū-e-alī hai
qudrat ne ye baḳhshā sharaf-e-ḳhās alī ko
ḳhātūn-e-jināñ fātima bānū-e-alī hai
kahtā hai kise aaj yadullah-e-zamāna
parde meñ nihāñ quvvat-e-bāzu-e-alī hai
hūreñ bhī haiñ ġhilmān bhī nahīñ ḳhuld meñ kyā kuchh
bā.īñ hamā firdaus-e-nazar sū-e-alī hai
ḳhū jis kī ye ho ḳhalq meñ bū phailegī us kī
rahm-o-karam afū-o-atā ḳhū-e-alī hai
khīñchne meñ bhī tanane meñ bhī tasvīr hai us kī
ye teġh do paikar hai ki abrū-e-alī hai
kahte haiñ mahak kar gul-e-mazmūn manāqib
phūloñ meñ 'riyāz' aap ke ḳhushbū-e-alī hai
sheron mein nikhat-e-gesu-e-ali hai
har sher mera shana kash-e-mu-e-ali hai
kabe mein KHayal-e-ruKH-e-neku-e-ali hai
allah ke ghar mein nazar su-e-ali hai
ye mai nahin aks-e-ruKH naiku-e-ali hai
mai-KHana-e-irfan mein rawan ju-e-ali hai
mauzuni-e-qamat yahi kahti hai pukare
allah ka alif qamat dil-juiali hai
jis mim se banta hai ahad surat-e-ahmad
mein khul ke ye kah dun girah mu-e-ali hai
aate hi mahak uTThe ga sab hashr ka maidan
lakhon mein jo chhupti nahin wo bu-e-ali hai
ai arsh bulandi mein zara kam nahin tujh se
wo masnad-e-din jo taha zanu-e-ali hai
kaisa sag-e-laila ki ye hai aur hi wadi
us najd mein laila bhi sag-e-ku-e-ali hai
har KHu-e-ali bu-e-nabi karti hai paida
KHu-bu jo nabi ki hai wahi bu-e-ali hai
qudrat ne ye baKHsha sharaf-e-KHas ali ko
KHatun-e-jinan fatima banu-e-ali hai
kahta hai kise aaj yadullah-e-zamana
parde mein nihan quwwat-e-bazu-e-ali hai
huren bhi hain ghilman bhi nahin KHuld mein kya kuchh
bain hama firdaus-e-nazar su-e-ali hai
KHu jis ki ye ho KHalq mein bu phailegi us ki
rahm-o-karam afu-o-ata KHu-e-ali hai
khinchne mein bhi tanane mein bhi taswir hai us ki
ye tegh do paikar hai ki abru-e-ali hai
kahte hain mahak kar gul-e-mazmun manaqib
phulon mein 'riyaz' aap ke KHushbu-e-ali hai
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 530)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.