shishe mein hasin baada-e-gul-fam hasin hai
shīshe meñ hasīñ bāda-e-gul-fām hasīñ hai
mai-ḳhāna-e-islām kā har jaam hasīñ hai
mehrāb kī raunaq hai koī zīnat-e-mimbar
as.hāb-e-mohammad kā har ek naam hasīñ hai
firdaus ke bāġhoñ kī bahāroñ se ziyāda
ārām-gah-e-sāqī-e-islām hasīñ hai
allāh re tanvīr-e-ruḳh-o-zulf-e-mohammad
har sub.h farozāñ hai har ik shaam hasīñ hai
ai salle-alā āriz-e-sāqī kī bahāreñ
mai-ḳhāna munavvar hai har ik jaam hasīñ hai
zulfoñ kā tasavvur salāmoñ kī hai bārish
majbūr ġham-e-ishq kī har shaam hasīñ hai
kaunain ne paa.ī hai 'hayāt' us se tajallī
vo arsh se bhī jalva-gah-e-gām hasīñ hai
shishe mein hasin baada-e-gul-fam hasin hai
mai-KHana-e-islam ka har jam hasin hai
mehrab ki raunaq hai koi zinat-e-mimbar
ashab-e-mohammad ka har ek nam hasin hai
firdaus ke baghon ki bahaaron se ziyaada
aaram-gah-e-saqi-e-islam hasin hai
allah re tanwir-e-ruKH-o-zulf-e-mohammad
har subh farozan hai har ek sham hasin hai
ai salle-ala aariz-e-saqi ki bahaaren
mai-KHana munawwar hai har ek jam hasin hai
zulfon ka tasawwur salamon ki hai barish
majbur gham-e-ishq ki har sham hasin hai
kaunain ne pai hai 'hayat' us se tajalli
wo arsh se bhi jalwa-gah-e-gam hasin hai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 174)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.