shikwa apne taleon ki na-rasai ka karun
shikva apne tāle.oñ kī nā-rasā.ī kā karūñ
yā gila ai shoḳh terī bevafā.ī kā karūñ
vo ki ik muddat talak jis ko bhalā kahtā rahā
aah ab kis muñh se zikr us kī burā.ī kā karūñ
āb-e-zamzam se maiñ dho luuñ apnī peshānī ke ta.iiñ
dar pe tab us ke irāda jab.ha-sā.ī kā karūñ
ḳhuub sī tambīh karnā ai judā.ī tū mujhe
gar kisī se phir kabhī qasd āshnā.ī kā karūñ
gar musaḳhḳhar hove vo ḳhurshīd-rū merā 'bayāñ'
bādshāhī kyā ki maiñ da.avā ḳhudā.ī kā karūñ
shikwa apne taleon ki na-rasai ka karun
ya gila ai shoKH teri bewafai ka karun
wo ki ek muddat talak jis ko bhala kahta raha
aah ab kis munh se zikr us ki burai ka karun
aab-e-zamzam se main dho lun apni peshani ke tain
dar pe tab us ke irada jabha-sai ka karun
KHub si tambih karna ai judai tu mujhe
gar kisi se phir kabhi qasd aashnai ka karun
gar musaKHKHar howe wo KHurshid-ru mera 'bayan'
baadshahi kya ki main dawa KHudai ka karun
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 110)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.