sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson
sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī kī ḳhū barsoñ
rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ
girā sajde meñ tujh ko dekhte hī vaa.e rusvā.ī
kiyā thā jis valī ne āb-e-zamzam se vuzū barsoñ
ajab hālat meñ ho jaatā hai us kā dekhne vaalā
na paa.e aap ko hargiz kare gar justujū barsoñ
na pūchho be-niyāzī aah tarz-e-imtihāñ dekho
milā.ī ḳhaak meñ hañs hañs ke merī aabrū barsoñ
ḳharābī ho ga.ī zāhid banāyā hijr-e-sāqī ne
'azīz' afsos alag rahtā hai sāġhar se subū barsoñ
sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson
rahi betab sina mein hamari aarzu barson
gira sajde mein tujh ko dekhte hi wae ruswai
kiya tha jis wali ne aab-e-zamzam se wuzu barson
ajab haalat mein ho jata hai us ka dekhne wala
na pae aap ko hargiz kare gar justuju barson
na puchho be-niyazi aah tarz-e-imtihan dekho
milai KHak mein hans hans ke meri aabru barson
KHarabi ho gai zahid banaya hijr-e-saqi ne
'aziz' afsos alag rahta hai saghar se subu barson
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 31)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.