sitamgar baz kyun aae mohabbat mehrban kyun ho
sitamgar baaz kyuuñ aa.e mohabbat mehrbāñ kyuuñ ho
maiñ jis ke ḳhvāb dekhūñ huuñ vo merā armuġhāñ kyuuñ ho
kahāñ kā ishq kaisā dard kaahe aah dil ko hai
kiyā hai ishq ham ne jo to us dil ko amaañ kyuuñ ho
tabah ho kar mohabbat meñ nishāñ ham ne miTāyā hai
tabāhī dil pe jo aa.e to baaqī phir nishāñ kyuuñ ho
hue rusvā mohabbat meñ to phir ġham dost ban baiThā
huā jab dost gham apnā to dil ye shādmāñ kyuuñ ho
shikasta dil shikasta ham shikasta jaan hai tan hai
ye sab ham ne kamāyā hai kisī se ab nihāñ kyuuñ ho
asar ye ishq hai is meñ sivā vahshat nahīñ kuchh bhī
hai jis bhī dil meñ ye bastā vahāñ phir gul istāñ kyuuñ ho
sitamgar baz kyun aae mohabbat mehrban kyun ho
main jis ke KHwab dekhun hun wo mera armughan kyun ho
kahan ka ishq kaisa dard kahe aah dil ko hai
kiya hai ishq hum ne jo to us dil ko aman kyun ho
tabah ho kar mohabbat mein nishan hum ne miTaya hai
tabahi dil pe jo aae to baqi phir nishan kyun ho
hue ruswa mohabbat mein to phir gham dost ban baiTha
hua jab dost gham apna to dil ye shadman kyun ho
shikasta dil shikasta hum shikasta jaan hai tan hai
ye sab hum ne kamaya hai kisi se ab nihan kyun ho
asar ye ishq hai is mein siwa wahshat nahin kuchh bhi
hai jis bhi dil mein ye basta wahan phir gul istan kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.