na balaon se na aafat se Dar lagta hai
na balāoñ se na āfāt se Dar lagtā hai
ab to apnoñ kī ināyāt se Dar lagtā hai
kyā milā.eñge sar-e-rāh vo nazreñ ham se
un ko duniyā ke savālāt se Dar lagtā hai
ye kahā dil kī taraf dekh ke us ne mere
aise vīrān maqāmāt se Dar lagtā hai
dil tujhe le to chaleñ shahr-e-nigārāñ meñ magar
terī fitrat tirī ādāt se Dar lagtā hai
is liye toḌ dī us ne vo imārat ki use
merī azmat ke nishānāt se Dar lagtā hai
pahle hotī thī kisī baat se dahshat ab to
'soz' duniyā kī har ik baat se Dar lagtā hai
na balaon se na aafat se Dar lagta hai
ab to apnon ki inayat se Dar lagta hai
kya milaenge sar-e-rah wo nazren hum se
un ko duniya ke sawalat se Dar lagta hai
ye kaha dil ki taraf dekh ke us ne mere
aise viran maqamat se Dar lagta hai
dil tujhe le to chalen shahr-e-nigaran mein magar
teri fitrat teri aadat se Dar lagta hai
is liye toD di us ne wo imarat ki use
meri azmat ke nishanat se Dar lagta hai
pahle hoti thi kisi baat se dahshat ab to
'soz' duniya ki har ek baat se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.