abhi to dard se is dil ka rabta hai wahi
abhī to dard se is dil kā rābta hai vahī
hamārī raah meñ kāñToñ kā silsila hai vahī
ye aañkh ḳhvāb sitāroñ ke dekhtī thī magar
mire nasīb meñ jo thā mujhe milā hai vahī
chhuḌā ke haath ġham-e-zindagī se jā۔ūñ kahāñ
falak vahī hai zamīñ kā bhī dā.era hai vahī
vahī khulī huiiñ āñkheñ haiñ chāñd sūraj kī
tirī talāsh meñ jaatī huī havā hai vahī
bharosa 'soz' tulūa sahar kā hai varna
añdherī raat hai zulmat kā sāmnā hai vahī
abhi to dard se is dil ka rabta hai wahi
hamari rah mein kanTon ka silsila hai wahi
ye aankh KHwab sitaron ke dekhti thi magar
mere nasib mein jo tha mujhe mila hai wahi
chhuDa ke hath gham-e-zindagi se ja۔un kahan
falak wahi hai zamin kā bhi daera hai wahi
wahi khuli huin aankhen hain chand suraj ki
teri talash mein jati hui hawa hai wahi
bharosa 'soz' tulua sahar ka hai warna
andheri raat hai zulmat ka samna hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.