hum ko gham-e-hayat ke kanTon pe Dal ke
ham ko ġham-e-hayāt ke kāñToñ pe Daal ke
likhvā.e ham se vaqt ne naġhme kamāl ke
rakh dī ga.ī diloñ se sadāqat nikāl ke
shāyad bahut qarīb haiñ mausam zavāl ke
sachchā javāb ek hī hotā hai mere dost
kitne javāb degā mire ik savāl ke
ham das ke hindise meñ haiñ us ek kī tarah
zero hī baaqī bachtā hai jis ko nikāl ke
'ādat hamesha ghūmte rahne kī hai use
rakhnā qadam zamīñ pe zarā dekh bhaal ke
ab ḳhvāhishoñ ke Dasne kā ronā fuzūl hai
ham ne to ḳhud ka.e haiñ javāñ saañp paal ke
hum ko gham-e-hayat ke kanTon pe Dal ke
likhwae hum se waqt ne naghme kamal ke
rakh di gai dilon se sadaqat nikal ke
shayad bahut qarib hain mausam zawal ke
sachcha jawab ek hi hota hai mere dost
kitne jawab dega mere ek sawal ke
hum das ke hindise mein hain us ek ki tarah
zero hi baqi bachta hai jis ko nikal ke
'adat hamesha ghumte rahne ki hai use
rakhna qadam zamin pe zara dekh bhaal ke
ab KHwahishon ke Dasne ka rona fuzul hai
hum ne to KHud kae hain jawan sanp pal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.