tai kar rahe hain kyun ye rah-e-gham na puchhiye
tai kar rahe haiñ kyuuñ ye rah-e-ġham na pūchhiye
zinda haiñ kis ummīd pe ab ham na pūchhiye
kis kis balā se pur hai bayābān-e-zindagī
kyā kyā rah-e-hayāt meñ haiñ ḳham na pūchhiye
letā huuñ kis kā naam maiñ tasbīh-e-ashk par
kis ke liye hai aañkh mirī nam na pūchhiye
ḳhāmoshiyāñ laboñ kī nigāhoñ kī guftugū
kyā thā bichhaḌte vaqt kā 'ālam na pūchhiye
maiñ 'soz' dil-fareb ummīdoñ ke haath se
piitā rahā huuñ kab se yañh samm na pūchhiye
tai kar rahe hain kyun ye rah-e-gham na puchhiye
zinda hain kis ummid pe ab hum na pūchhiye
kis kis bala se pur hai bayaban-e-zindagi
kya kya rah-e-hayat mein hain KHam na puchhiye
leta hun kis ka nam main tasbih-e-ashk par
kis ke liye hai aankh meri nam na pūchhiye
KHamoshiyan labon ki nigahon ki guftugu
kya tha bichhaDte waqt ka 'alam na pūchhiye
main 'soz' dil-fareb ummidon ke hath se
pita raha hun kab se yanh samm na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.