ab to ye aalam hai ghabra kar gham-o-alam se
ab to ye 'ālam hai ghabrā kar ġham-o-ālām se
bhāgtā hai duur insāñ zindagī ke naam se
māñgne vāloñ kī saf meñ aaga.ī aulād shah
aur tum kyā chāhte ho gardish-e-ayyām se
umr bhar kar ke adā har qarz terā zindagī
jhaaḌ kar dāman ko ab baiThā huuñ maiñ ārām se
sūrat-o-sīrat ke andar itnī tabdīlī ke ba.ad
kaun ab degā sadā ham ko hamāre naam se
is zamīn-o-āsmāñ ke darmiyāñ aane ke ba.ad
kyuuñ rahe mahrūm koī dard ke in.aam se
dard kī lazzat to us dam giit meñ paidā huī
aarzū roī lipaT kar jab dil-e-nākām se
ab to ye 'alam hai ghabra kar gham-o-alam se
bhagta hai dur insan zindagi ke nam se
mangne walon ki saf mein aagai aulad shah
aur tum kya chahte ho gardish-e-ayyam se
umr bhar kar ke ada har qarz tera zindagi
jhaD kar daman ko ab baiTha hun main aaram se
surat-o-sirat ke andar itni tabdili ke baad
kaun ab dega sada hum ko hamare nam se
is zamin-o-asman ke darmiyan aane ke baad
kyun rahe mahrum koi dard ke inam se
dard ki lazzat to us dam git mein paida hui
aarzu roi lipaT kar jab dil-e-nakaam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.