hathon ke liye barg-e-hina DhunDne wale
hāthoñ ke liye barg-e-hinā DhūñDne vaale
nākām palaT aa.e vafā DhūñDne vaale
rakh aañkh meñ manzil kī tamannā kā ujālā
har moḌ pe raste meñ diyā DhūñDne vaale
ab ham ko kisī ghar kisī kūche kī ḳhabar kyā
haiñ ham to ḳhud apnā hī pata DhūñDne vaale
āzār-e-musalsal hai ye insān kā jīvan
thak jā.eñge us dukh kī davā DhūñDne vaale
siine se lagā lete the har mauj-e-balā ko
har ġham meñ tire ġham kā mazā DhūñDne vaale
kam-yāb haiñ is daur-e-bad-atvār ke andar
hoñToñ pe buzurgoñ kī duā DhūñDne vaale
hathon ke liye barg-e-hina DhunDne wale
nakaam palaT aae wafa DhunDne wale
rakh aankh mein manzil ki tamanna ka ujala
har moD pe raste mein diya DhunDne wale
ab hum ko kisi ghar kisi kuche ki KHabar kya
hain hum to KHud apna hi pata DhunDne wale
aazar-e-musalsal hai ye insan ka jiwan
thak jaenge us dukh ki dawa DhunDne wale
sine se laga lete the har mauj-e-bala ko
har gham mein tere gham ka maza DhunDne wale
kam-yab hain is daur-e-bad-atwar ke andar
honTon pe buzurgon kī dua DhunDne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.