nazar ko haal-e-dil ka tarjuman kahna hi paDta hai
nazar ko hāl-e-dil kā tarjumāñ kahnā hī paḌtā hai
ḳhamoshī ko bhī ik tarz-e-bayāñ kahnā hī paḌtā hai
jahāñ har gaam par sajde Tapakte haiñ jabīnoñ se
vahāñ har naqsh-e-pā ko āstāñ kahnā hī paḌtā hai
jahāñ lab koshish-e-iz.hār-e-matlab ko taraste haiñ
vahāñ har saañs ko ik dāstāñ kahnā hī paḌtā hai
agar qalb-o-nazar meñ vus.ateñ huuñ tere jalvoñ kī
ḳhizāñ ko bhī bahār-e-jāvedāñ kahnā hī paḌtā hai
kahāñ āsūdgī dil kī kahāñ afsurdagī lekin
asīrī meñ qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
ik aisā bhī maqām aatā hai be-dād-e-mohabbat meñ
ki is nā-mehrbāñ ko mehrbāñ kahnā hī paḌtā hai
ham un se mājrā-e-dard-e-dil kahte nahīñ lekin
ba-andāz-e-hadīs-e-dīgarāñ kahnā hī paḌtā hai
nahīñ be-kār un kā is tarah se muskurā denā
'tabassum' ko bhī ik tarz-e-bayāñ kahnā hī paḌtā hai
nazar ko haal-e-dil ka tarjuman kahna hi paDta hai
KHamoshi ko bhi ek tarz-e-bayan kahna hi paDta hai
jahan har gam par sajde Tapakte hain jabinon se
wahan har naqsh-e-pa ko aastan kahna hi paDta hai
jahan lab koshish-e-izhaar-e-matlab ko taraste hain
wahan har sans ko ek dastan kahna hi paDta hai
agar qalb-o-nazar mein wusaten hun tere jalwon ki
KHizan ko bhi bahaar-e-jawedan kahna hi paDta hai
kahan aasudgi dil ki kahan afsurdagi lekin
asiri mein qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai
ek aisa bhi maqam aata hai be-dad-e-mohabbat mein
ki is na-mehrban ko mehrban kahna hi paDta hai
hum un se majra-e-dard-e-dil kahte nahin lekin
ba-andaz-e-hadis-e-digaran kahna hi paDta hai
nahin be-kar un ka is tarah se muskura dena
'tabassum' ko bhi ek tarz-e-bayan kahna hi paDta hai
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.