bahut muztar bahut dard-ashna dil
bahut muztar bahut dard-āshnā dil
'ajab aafat kā TukḌā hai mirā dil
vafā kyā aur vafā kā tazkira kyā
tumhār sāmne jab rakh diyā dil
ye dil meñ tū ne paikāñ rakh diyā hai
ki dil meñ rakh diyā ik dūsrā dil
ham apne dil kī hālat sun ke roye
hamārā haal sun kar ro diyā dil
ye bijlī hai ki sho.ala hai ki sīmāb
mire āġhosh meñ hai kyā balā dil
har ik se hai vafā kī tum ko ummīd
har ik dil ko samajhte ho mirā dil
use jumbish nahīñ hotī fuġhāñ se
ḳhudā ne kyā banāyā hai tirā dil
'tabassum' hai 'ajab vāzhūnī-e-baḳht
maiñ hañstā huuñ to rotā hai mirā dil
bahut muztar bahut dard-ashna dil
'ajab aafat ka TukDa hai mera dil
wafa kya aur wafa ka tazkira kya
tumhaar samne jab rakh diya dil
ye dil mein tu ne paikan rakh diya hai
ki dil mein rakh diya ek dusra dil
hum apne dil ki haalat sun ke roye
hamara haal sun kar ro diya dil
ye bijli hai ki shoala hai ki simab
mere aaghosh mein hai kya bala dil
har ek se hai wafa ki tum ko ummid
har ek dil ko samajhte ho mera dil
use jumbish nahin hoti fughan se
KHuda ne kya banaya hai tera dil
'tabassum' hai 'ajab wazhuni-e-baKHt
main hansta hun to rota hai mera dil
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.